Sehat Achchhi Na Ho To Zulf-e-niswani Se Bachna

sehat achchhi na ho to zulf-e-niswani se bachna

fishaar-e-KHun ke hamle mein namak-dani se bachna

na ho income to bachchon ki farawani se bachna

gharibi mein farogh-e-nasl-e-insani se bachna

bahut mushkil hai begam ki nigahbani se bachna

samundar mein bhi rahna aur tughyani se bachna

guzishta ahd mein dhoka bahut khaya hai tum ne

magar is bar 'zardari' o 'gilani' se bachna

KHuda tum ko wazir-e-bijli-o-pani bana de

to phir tum sarafin-e-bijli-o-pani se bachna

KHuda ke ghar mein wisa-card ka system nahin hai

credit-card ke bakre ki qurbani se bachna

tumhein lahore ke footpath ka permit mila hai

lihaza rae-winD ke qasr-e-sultani se bachna

tumhein ai 'KHalid'-e-irfan mera mashwara hai

ghazal kahna magar har ja ghazal-KHwani se bachna

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sehat Achchhi Na Ho To Zulf-e-niswani Se Bachna In English By Famous Poet Khalid Irfan. Sehat Achchhi Na Ho To Zulf-e-niswani Se Bachna is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Sehat Achchhi Na Ho To Zulf-e-niswani Se Bachna for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Sehat Achchhi Na Ho To Zulf-e-niswani Se Bachna in PDF.