Ek Desi Hasina Se Mulaqat

sub-way mein nazar aai mujhe ek hasina

rusi nazar aati thi haqiqat mein thi china

andar ki faza aur thi bahar ki faza aur

mada thi magar chaal se lagti thi narina

boli ki mujhe log pukara kiye mary

daddy ne mera nam to rakha tha marina

shalwar ko nekar kiya banyan ko rumal

main rah-e-taraqqi pe chaDhi zina-ba-zina

ab mujh ko dupaTTe ki zarurat hi nahin hai

maghrib ne sikhaya mujhe jine ka qarina

main ek hi andaz ke kapDon mein milungi

ho june ka session ki december ka mahina

desi thi magar rup mein kali ki tarah thi

wo garm bahut chae ki pyali ki tarah thi

pistol ki tarah aankh to goli ki tarah honT

aur nak to banduq ki nali ki tarah thi

aai thi yahan zulf-e-girah-gir kaTa kar

mashriq ki hawa baad-e-shumali ki tarah thi

us ka bhi na tha meri tarah koi bharosa

bengan ki tarah main hun wo thaali ki tarah thi

har uzw-e-badan misra-e-ghaalib ki tarah tha

chehre ki chamak matla-e-haali ki tarah thi

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Desi Hasina Se Mulaqat In English By Famous Poet Khalid Irfan. Ek Desi Hasina Se Mulaqat is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Ek Desi Hasina Se Mulaqat for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Ek Desi Hasina Se Mulaqat in PDF.