Curfew Mein Mushaera

kya jaane us zarif ke kya dil mein aai thi

curfew mein jis ne mahfil-e-sheri sajai thi

allah aisa zauq jahannam mein Dal de

curfew mein shairon ko jo ghar se nikal de

aise mein jab ki shahr ke sab raste hon band

saDkon pe aa gae the ye ba-zauq shar-pasand

aise mein jab ki ghar se nikalna muhaal tha

lekin ye shairon ki ana ka sawal tha

sheri-mahaz KHana-e-shaer se dur tha

kaba mein hajiyon ko pahunchna zarur tha

shair rawan the sher ke chaqu liye hue

dil mein KHayal-e-KHidmat-e-urdu liye hue

zor-e-qalam ke sath sipah-e-riyaz thi

qanun hath mein tha baghal mein bayaz thi

galiyon mein qatl-o-KHun tha saDak par fasad tha

shair ba-zor-e-fikr sharik-e-jihad tha

kaisi nikal rahi thi sada gun-machine se

jaise kisi ko dad mile samain se

shair bayaz lae the sanduq ki tarah

misre ugal rahe the wo banduq ki tarah

jab firing ahl-e-suKHan ki hui tamam

ye KHidmat-e-adab ka police ne sila diya

kuchh shairon ko road pe murgha bana diya

kuchh kohna-mashq bhi the sujud-o-ruku mein

jabran unhen paDhaya gaya tha shurua mein

tarhi mushaere ka saman de rahe the wo

ek misra-e-tarah pe azan de rahe the wo

kuchh shairon ko naghma-sarai ki fikr thi

sadr-e-mushaira ko rihai ki fikr thi

jab shairon ke hath sharik-e-dua hue

curfew ka waqt KHatm hua tab riha hue

sab apne apne ghar gae is haw-hu ke baad

shair-azim hota hai har curfew ke baad

(363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Curfew Mein Mushaera In English By Famous Poet Khalid Irfan. Curfew Mein Mushaera is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Curfew Mein Mushaera for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Curfew Mein Mushaera in PDF.