Karachi Ka Mawasalati Mushaira

ahl-e-adab ne phir ye kiya tajraba naya

shaer mawasalat ki duniya pe chha gaya

mirriKH par mushaera kar lo ki moon par

hum to ab apne sher sunaenge phone par

shaer idhar hai, sadr udhar, samain udhar

main phunk marta hun to bajti hai bin udhar

dulha ko fasle pe rakha hai baraat se

matlab ye hai ki dur raho shaeraat se

America se ghazal jo paDhi hum ne lahr mein

gunji hai us ki dad karachi ke shahr mein

sheron mein aa gaya hai jo maghrib ka rang-e-KHas

mahsus ho raha hai ki shaer hai be-libas

kis haal mein kalam-e-balaghat hua ata

shaer hai bath-room mein same ko kya pata

be-shak mawasalati qadam inqilabi hai

aTke jahan pe kah diya fanni KHarabi hai

shaer ne sher arz kiya rampur se

misra uTha diya hai kisi ne qusur se

shaer ne jab bayaz nikali jahaz mein

gunji hain wah-wa ki sadaen hijaz mein

rocket ki tarah sher gire samain par

shaer hai aasman pe tabahi zamin par

pahle ye hukm tha ki dalael se sher paDh

aur ab ye kah rahe hain mobile se sher paDh

kahte the pahle sher ko misra uTha ke paDh

aur ab ye kah rahe hain ki Dael ghuma ke paDh

kahne lage burai ko dozaKH mein jhonk de

maik se dur hai to receiwer mein bhunk de

jab dad mil rahi thi mujhe samain se

ek sher laD gaya tha kisi mah-jabin se

main ne jo faslon ki ye diwar paT di

sadr-e-girami ne meri line hi kaT di

(511) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karachi Ka Mawasalati Mushaira In English By Famous Poet Khalid Irfan. Karachi Ka Mawasalati Mushaira is written by Khalid Irfan. Read famous Poem Karachi Ka Mawasalati Mushaira for youth and Student by Khalid Irfan. Free Download Karachi Ka Mawasalati Mushaira in PDF.