Ishq Hai Wahshat Hai Kya Hai Kuchh Pata To Chahiye

ishq hai wahshat hai kya hai kuchh pata to chahiye

kya kahun main us se aaKHir muddaa to chahiye

darguzar kar mere malik tu nazar aata nahin

sar jhukane ke liye koi pata to chahiye

raat ki palken bhi KHali ghar ke aangan ki tarah

raushni ke waste koi diya to chahiye

sar-KHamida shahr mein us ke harim-e-naz tak

bu-e-gul ke waste dast-e-saba to chahiye

KHat-kashida sari tahriren usi ke nam hain

harf-e-haq ko izn de saut-o-sada to chahiye

raat ki shaKHon pe kuchh KHwabon ke gul-buTe saja

jagti aankhon ko aaKHir aasra to chahiye

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Hai Wahshat Hai Kya Hai Kuchh Pata To Chahiye In English By Famous Poet Khalid Jamal. Ishq Hai Wahshat Hai Kya Hai Kuchh Pata To Chahiye is written by Khalid Jamal. Read famous Poem Ishq Hai Wahshat Hai Kya Hai Kuchh Pata To Chahiye for youth and Student by Khalid Jamal. Free Download Ishq Hai Wahshat Hai Kya Hai Kuchh Pata To Chahiye in PDF.