Kisi But Ke Shikam Se Gar Koi Aazar Nikal Aae

kisi but ke shikam se gar koi aazar nikal aae

KHirad ka band TuTe aur ek patthar nikal aae

taqaze jab badan ke ruh mein Dhal kar nikal aae

qaba ke band TuTe aur hasin bistar nikal aae

zamana na-shanasi ka murawwat be-KHayali ki

na jaane kis gali kis moD par KHanjar nikal aae

uge hain KHwab-zaron mein manazir sar-tarashi ke

suhani wadiyon mein bawle lashkar nikal aae

thakan ka bojh le kar koi kitni dur chalta hai

magar jab rah mein ek mil ka patthar nikal aae

chhupa kar jin charaghon ko nihan-KHane mein rakkha tha

fasil-e-jaan pe jalne ke liye kyun kar nikal aae

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi But Ke Shikam Se Gar Koi Aazar Nikal Aae In English By Famous Poet Khalid Jamal. Kisi But Ke Shikam Se Gar Koi Aazar Nikal Aae is written by Khalid Jamal. Read famous Poem Kisi But Ke Shikam Se Gar Koi Aazar Nikal Aae for youth and Student by Khalid Jamal. Free Download Kisi But Ke Shikam Se Gar Koi Aazar Nikal Aae in PDF.