KHwab To KHwab Hain Tabir Badal Kar Dekhun

KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun

us paheli ko zara main bhi to hal kar dekhun

apne chehre ki lakiron se pareshan nahin

zaKHm taza hai so aaina sambhal kar dekhun

rang aur nur se hairan hain aankhen meri

un manazir ko zara dur se chal kar dekhun

in fazaon mein bikhar jaun main KHushbu ki tarah

is chaman-zar se bahar bhi nikal kar dekhun

ab meri rae se tu itna bhi hairan na ho

zawiya hai to na kyun is ko badal kar dekhun

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab To KHwab Hain Tabir Badal Kar Dekhun In English By Famous Poet Khalid Jamal. KHwab To KHwab Hain Tabir Badal Kar Dekhun is written by Khalid Jamal. Read famous Poem KHwab To KHwab Hain Tabir Badal Kar Dekhun for youth and Student by Khalid Jamal. Free Download KHwab To KHwab Hain Tabir Badal Kar Dekhun in PDF.