Hai Mol-bhao Mein Bazar Mein Hai Sath Mere

hai mol-bhao mein bazar mein hai sath mere

wo ek kar-e-fana-zar mein hai sath mere

salib-e-jaan se visal aasman ke sahil tak

har ek lazzat-e-azar mein hai sath mere

kabhi to hero banata hai aur kabhi joker

har ek rang ke kirdar mein hai sath mere

yahi bahut hai mere jism o jaan ka hissa hai

kahin to mauja-e-KHun-bar mein hai sath mere

ajab guman hai jaise ki sarfaraaz hun main

ajib fitna-e-dastar mein hai sath mere

kabhi mujhe bhi zara mojaza-numa karta

jo apni zat ke asrar mein hai sath mere

wo dastaras mein hai lekin nazar se ghaeb hai

harif-e-jaan koi paikar mein hai sath mere

main ek nigah ko mahsus kar raha hun mudam

koi to reg-e-fana-zar mein hai sath mere

wo sare KHeme lagata hai phir ukhaDta hai

sarab-e-manzil-o-asar mein hai sath mere

jo chhoD deta hai dasht-e-zawal mein tanha

wo rel-pel mein bazar mein hai sath mere

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Mol-bhao Mein Bazar Mein Hai Sath Mere In English By Famous Poet Khalid Karrar. Hai Mol-bhao Mein Bazar Mein Hai Sath Mere is written by Khalid Karrar. Read famous Poem Hai Mol-bhao Mein Bazar Mein Hai Sath Mere for youth and Student by Khalid Karrar. Free Download Hai Mol-bhao Mein Bazar Mein Hai Sath Mere in PDF.