Imkan Se Bahar Kabhi Aasar Se Aage

imkan se bahar kabhi aasar se aage

mahshar hai mere dida-e-KHun-bar se aage

irfan ki had ya mere paikar ki shararat

nikla mera saya meri dastar se aage

ek jins-zada nasl hai tahzib ke pichhe

bazar hai ek kucha-o-bazar se aage

suraj hai shab-o-roz taaqub mein wagarna

hai aur bahut raat ke asrar se aage

hum log ki manzil ke bhulawe ke giraftar

aasar se pichhe kabhi aasar se aage

(346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Imkan Se Bahar Kabhi Aasar Se Aage In English By Famous Poet Khalid Karrar. Imkan Se Bahar Kabhi Aasar Se Aage is written by Khalid Karrar. Read famous Poem Imkan Se Bahar Kabhi Aasar Se Aage for youth and Student by Khalid Karrar. Free Download Imkan Se Bahar Kabhi Aasar Se Aage in PDF.