Koi Aane Ka Nahin Ab

go hamein malum tha

ki ab wo silsila baqi nahin hai

go hamein malum tha ki

nuh aane ke nahin ab

han magar jab shahr mein pani dar aaya

hum ne kuchh mauhum ummidon ko pala

aur ek baDe pinDal pe yakja hue hum

aur ba-yak aawaz hum ne nuh ko phir se pukara

go hamein malum tha ki

nuh aane ke nahin ab

go hamein ehsas ye bhi tha ki hum ne

KHud hi wo sara samundar kaT kar

us ka ruKH moDa tha apne shahr ki jaanib

magar hum mutmain the

mauhum ummidon ko aae din jawan karte hue hum sab

ki phir se nuh aaenge

bulaenge

jilau mein apne taza kashtiyan

maKHluq-e-KHuda ke taza joDe laenge

aur hum phir se

nuh ki kashti mein pani se nikal jaenge ek din

ki ab pani fasilen toD kar

shahr ko dariya banane pe tula hai

ab nahin malum ki hum kis jagah hain kaun hain hum

hum abhi tak muntazir hain

ab hamein kaamil yaqin hai

ibn-e-maryam lauT aaenge

hamein zinda uThaenge

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Aane Ka Nahin Ab In English By Famous Poet Khalid Karrar. Koi Aane Ka Nahin Ab is written by Khalid Karrar. Read famous Poem Koi Aane Ka Nahin Ab for youth and Student by Khalid Karrar. Free Download Koi Aane Ka Nahin Ab in PDF.