Lahu Ko Zoom Karte Hain

dariche se jahan tak bhi nazar aata hai

musalsal KHamushi hai

saDak ki pili lakir

sar piTti hai

dur tak foot-path par raunde hue sae

poll par bijli ke khambe se laTakti ek chamgadaD

subh ka zard chehra raat ke andoh ka ahwal ek chaupaya

aur nukkaD par khaDe ho tum

musalsal KHamushi hai

dariche se jahan tak bhi nazar aata hai

musalsal KHamushi hai

mere kamre ke andar

han magar tariKH raushan hai

hazaron sal ke tajrabe banhen pasare aise baiThe hain

ki jaise shahr bhar ki KHamoshi se mutmain hun

mere computer ki Desktop

kal ki ek taswir apni kahani bolti hai

na jaane kyun ye manzar dekhte hi

saDak par phir shor o girya jag uThta hai

saron ki bhiD ugti hai

rawan rahte hain sae

ba-juz is ke musalsal KHamoshi hai

magar dil chahta hai KHamoshi ko aise toDun

tumhaare pas jaun

aur kahun banduq ko niche karo

aao na meri Desktop par kal ka photo tum bhi dekho

tum bhi dekho

main lahu ko zoom karta hun

(433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ko Zoom Karte Hain In English By Famous Poet Khalid Karrar. Lahu Ko Zoom Karte Hain is written by Khalid Karrar. Read famous Poem Lahu Ko Zoom Karte Hain for youth and Student by Khalid Karrar. Free Download Lahu Ko Zoom Karte Hain in PDF.