Ashkon Se Dhul Ke Aaina-KHana Badal Gaya

ashkon se dhul ke aaina-KHana badal gaya

barish hui to mausam-e-rafta badal gaya

jab bhi sambhaala chand ne barbaad shahr ko

diwar-o-dar wahi rahe naqsha badal gaya

ek dasht-e-be-aman mein safar kar rahe the hum

sansen ukhaD gain kabhi rasta badal gaya

utri nazar se gard to manzar kuchh aur tha

yun lag raha tha jaise wo chehra badal gaya

har bar pahunche hum tere mear tak magar

har bar tera hum se taqaza badal gaya

pahle to intiqam ne shal kar diye hawas

phir jaane kya hua ki irada badal gaya

is bar tere harf-e-tasalli na bin sake

is bar teri baat ka lahja badal gaya

kam kam raha tha din ke samay dil mein tera aks

shab aa gai to jaise ye shisha badal gaya

(377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashkon Se Dhul Ke Aaina-KHana Badal Gaya In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Ashkon Se Dhul Ke Aaina-KHana Badal Gaya is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Ashkon Se Dhul Ke Aaina-KHana Badal Gaya for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Ashkon Se Dhul Ke Aaina-KHana Badal Gaya in PDF.