Bana Bana Ke Aks KHadd-o-Khaal Rakh Diye Gae

bana bana ke aks KHadd-o-KHal rakh diye gae

ki aaine haTa diye KHayal rakh diye gae

jo baat qatl ki gai wahi to ek baat thi

suKHan-sara-e-waqt mein malal rakh diye gae

koi na KHud ko pa sake ye aur baat hai magar

kami kaji ke rang mein kamal rakh diye gae

kabhi jo ek shahr tha qafas bana diya gaya

jahan bhi rakkhe ja sake the jal rakh diye gae

daraKHt kaT kaT kar kushadgi to ki gai

saron pe jalti dhup ke wabaal rakh diye gae

kabhi jo haq diya gaya to is tarah diya gaya

ki faisle ke darmiyan sal rakh diye gae

dilon ko chhu gai thi jo wo tazgi nahin rahi

bhale se ab suKHan mein sau kamal rakh diye gae

mohabbaton mein chahiye thi puKHtagi so is liye

firaq rakh diye gae visal rakh diye gae

wo shahr be-misal tha wo shahr la-zawal tha

phir us ki inT inT mein zawal rakh diye gae

(340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bana Bana Ke Aks KHadd-o-Khaal Rakh Diye Gae In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Bana Bana Ke Aks KHadd-o-Khaal Rakh Diye Gae is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Bana Bana Ke Aks KHadd-o-Khaal Rakh Diye Gae for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Bana Bana Ke Aks KHadd-o-Khaal Rakh Diye Gae in PDF.