Main Agar Aaine Banata Hun

main agar aaine banata hun

jauhar-e-KHak se banata hun

tum kisi ek se chale aana

main kai raste banata hun

baat kya hai khule bas itna hi

main kahan masale banata hun

kis ki duri ka KHauf hai mujh ko

KHwab mein daere banata hun

main ki apni isi KHamoshi se

baat ke silsile banata hun

zaKHm deti hai tirgi aur main

raushni zaKHm se banata hun

main jo KHud ko bana nahin paya

ab tere waste banata hun

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Agar Aaine Banata Hun In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Main Agar Aaine Banata Hun is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Main Agar Aaine Banata Hun for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Main Agar Aaine Banata Hun in PDF.