Mubtala KHud Ko Kisi Gham Mein Musalsal Rakhna

mubtala KHud ko kisi gham mein musalsal rakhna

aur us gham ko teri aankh se ojhal rakhna

chand khiDki mein kabhi dhup mein baadal rakhna

dhyan rakhna jo kisi ka to har ek pal rakhna

chalna sikha hi nahin rah se haT kar hum ne

ek qadam us ki taraf ek su-e-maqtal rakhna

dekhna mand na paD jaen gham-e-hijr mein ye

tum shab-e-wasl ka in aankhon mein kajal rakhna

ek zara baat se is jaan pe ban aati thi

ras aaya bhi to gham se ise bojhal rakhna

jis ko kahna tha usi ko nahin kahna aur phir

kaise andeshon mein KHud ko yunhi pagal rakhna

aisa lagna ki ye aankhen to barasti hi nahin

sail-e-gham se magar andar koi jal-thal rakhna

hum to is arsa-e-hasti mein jhulaste hi rahe

na hua dhup mein ek KHwab ka baadal rakhna

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mubtala KHud Ko Kisi Gham Mein Musalsal Rakhna In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Mubtala KHud Ko Kisi Gham Mein Musalsal Rakhna is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Mubtala KHud Ko Kisi Gham Mein Musalsal Rakhna for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Mubtala KHud Ko Kisi Gham Mein Musalsal Rakhna in PDF.