Pahle To Shahr Bhar Mein Misal Aaine Hue

pahle to shahr bhar mein misal aaine hue

phir gard se sarapa sawal aaine hue

chehra chhupae phirta hai gahre naqab mein

ek shaKHs ko to lau ki misal aaine hue

hum ko saza mili ki ujale the aaine

so apni jaan pe sara wabaal aaine hue

phir yun hua ki zabt ki surat nahin rahi

aur shahr-e-be-nawa ke ghazal aaine hue

jin ke sabab se hum hue matub shahr mein

ek waqt aa gaya wo KHayal aaine hue

wo dard ji uTha ki gareban the tar tar

wo rut umaD paDi ki nihaal aaine hue

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle To Shahr Bhar Mein Misal Aaine Hue In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Pahle To Shahr Bhar Mein Misal Aaine Hue is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Pahle To Shahr Bhar Mein Misal Aaine Hue for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Pahle To Shahr Bhar Mein Misal Aaine Hue in PDF.