Shab Ke Hathon Gira Aur Kahin Rah Gaya

shab ke hathon gira aur kahin rah gaya

chand phir be-falak be-zamin rah gaya

chalte rahte to milne ka imkan tha

jo jahan ruk gaya wo wahin rah gaya

KHud ko khoe hue kya kise DhunDte

tum kahin rah gae main kahin rah gaya

kaun rakkhe hisab-e-shab-o-roz jab

shab kahin rah gai din kahin rah gaya

kho gaya jo bhi zad-e-safar pas tha

KHwab oDhe hue ek yaqin rah gaya

tum mile hi kahan milne jaise mujhe

main jahan tha wahin ka wahin rah gaya

sab guzarta gaya sab guzarne diya

phir bhi kya kya na dal ke qarin rah gaya

main uThae hue ye badan chal paDa

dil bhi raazi tha phir bhi wahin rah gaya

baad muddat ke ab sochna bhi hai kya

pas kya rah gaya kya nahin rah gaya

(374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ke Hathon Gira Aur Kahin Rah Gaya In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Shab Ke Hathon Gira Aur Kahin Rah Gaya is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Shab Ke Hathon Gira Aur Kahin Rah Gaya for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Shab Ke Hathon Gira Aur Kahin Rah Gaya in PDF.