Tufan Samajh Liya Kabhi Sahil Bana Liya

tufan samajh liya kabhi sahil bana liya

ai shauq-e-be-aman tujhe manzil bana liya

ab jism-o-jaan-e-naz pe TuTen qayamaten

us se gurez kya jise hasil bana liya

kuchh intiha-e-shauq ke the silsile ajab

mushkil nahin tha jo use mushkil bana liya

jis din ki intizar tha karna nahin kiya

KHud ko mizaj-e-yar ke qabil bana liya

us rah par chale jo zamane se haT ke thi

aur kar-e-zindagi tujhe mushkil bana liya

chhoDa nahin banae bana zimme jo bhi tha

phir bhi nahin kuchh aisa ki be-dil bana liya

jab chaha ai samay tujhe raunaq se kaT kar

KHalwat-nashini-e-shab-e-mahfil bana liya

pani hi kya hawa bhi nahin e'tibar ki

ye jaan kar Thikana sar-e-gil bana liya

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tufan Samajh Liya Kabhi Sahil Bana Liya In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Tufan Samajh Liya Kabhi Sahil Bana Liya is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Tufan Samajh Liya Kabhi Sahil Bana Liya for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Tufan Samajh Liya Kabhi Sahil Bana Liya in PDF.