Tujhe Pa Kar Bhi Jab Koi Kami Mahsus Hoti Hai

tujhe pa kar bhi jab koi kami mahsus hoti hai

to phir ye sans bhi rukti hui mahsus hoti hai

jo kahna hi nahin us ka ishaara kyun diya jae

ki aisi baat to kuchh aur bhi mahsus hoti hai

adim-ul-fursati shiddat se us ka yaad aa jaana

ghanimat hai agar ye tishnagi mahsus hoti hai

palaT kar aa gae ho tum to kyun aae nahin lagte

tumhaari aankh mein kyun gard si mahsus hoti hai

wagarna bojh hai jis ko liye phirna hai kandhe par

karen mahsus to ye zindagi mahsus hoti hai

shajar wo bhi jise sincha ho apna KHun de de kar

kabhi us ki bhi chhanw ajnabi mahsus hoti hai

ye mere KHwab hain jo saya karte hain mere sar par

mujhe is dopahar mein chhanw si mahsus hoti hai

kisi ki guftugu ke darmiyan aksar na jaane kyun

kahin gahri si koi KHamushi mahsus hoti hai

zamin teri tarah main bhi safar mein hun ki jaise tu

kabhi Thahri nahin Thahri hui mahsus hoti hai

(374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Pa Kar Bhi Jab Koi Kami Mahsus Hoti Hai In English By Famous Poet Khalid Mahmood Zaki. Tujhe Pa Kar Bhi Jab Koi Kami Mahsus Hoti Hai is written by Khalid Mahmood Zaki. Read famous Poem Tujhe Pa Kar Bhi Jab Koi Kami Mahsus Hoti Hai for youth and Student by Khalid Mahmood Zaki. Free Download Tujhe Pa Kar Bhi Jab Koi Kami Mahsus Hoti Hai in PDF.