JhapaTte Hain JhapaTne Ke Liye Parwaz Karte Hain

jhapaTte hain jhapaTne ke liye parwaz karte hain

kabutar bhi wahi karne lage jo baz karte hain

wahi qisse wahi baaten ki jo ghammaz karte hain

tere hamraaz karte hain mere dam-saz karte hain

ba-sad hile bahane zulm ka dar baz karte hain

wahi jaan-baz jin par har ghaDi hum naz karte hain

ziyaada dekhte hain jab wo aankhen pher lete hain

nazar mein rakh rahe hon to nazar-andaz karte hain

sataish-ghar ke pankhon se hawa to kam hi aati hai

magar chalte hain jab zalim bahut aawaz karte hain

zamane bhar ko apna raaz-dan karne ki Thahri hai

to behtar hai chalo us shoKH ko hamraaz karte hain

Daraata hai bahut anjam-e-namrudi mujhe 'KHalid'

KHuda lahje mein jab bande suKHan aaghaz karte hain

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JhapaTte Hain JhapaTne Ke Liye Parwaz Karte Hain In English By Famous Poet Khalid Mahmood. JhapaTte Hain JhapaTne Ke Liye Parwaz Karte Hain is written by Khalid Mahmood. Read famous Poem JhapaTte Hain JhapaTne Ke Liye Parwaz Karte Hain for youth and Student by Khalid Mahmood. Free Download JhapaTte Hain JhapaTne Ke Liye Parwaz Karte Hain in PDF.