Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte

jo suraj ho to har manzar ujala kyun nahin karte

ye aaThon pahr ki raaten sawera kyun nahin karte

tajjub hai mujhi ko apni mahfil mein nahin dekha

nahin dekha agar tum ne to dekha kyun nahin karte

churaata hai wo pahle nind phir shoKHi se kahta hai

ye shab bhar jagte rahte ho soya kyun nahin karte

hisab-e-dostan ai dil KHayal-e-nek hai lekin

tumhaare pas bhi dil hai tum aisa kyun nahin karte

mere bhai agar tairak banna chahte ho tum

to dariya ke kinare se kinara kyun nahin karte

uTha kar roz le jata hai mere KHwab ka manzar

wo mujh se roz kahta hai bharosa kyun nahin karte

to din ko ishq ki baaten samajh hi mein nahin aaen

samajh hi mein nahin aain to samjha kyun nahin karte

dilon ka qarz raqmon se ada hota nahin 'KHalid'

bahut aasan hai ye kahna taqaza nahin karte

(407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte In English By Famous Poet Khalid Mahmood. Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte is written by Khalid Mahmood. Read famous Poem Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte for youth and Student by Khalid Mahmood. Free Download Jo Suraj Ho To Har Manzar Ujala Kyun Nahin Karte in PDF.