BaDe Jatan Se BaDe Soch Se Utara Gaya

baDe jatan se baDe soch se utara gaya

mera sitara sar-e-KHak bhi sanwara gaya

meri wafa ne junun ka hisab dena tha

so aaj mujh ko bayaban se pukara gaya

bas ek KHauf tha zinda teri judai ka

mera wo aaKHiri dushman bhi aaj mara gaya

mujhe yaqin tha is tajrabe se pahle bhi

suna hai ghair se jalwa nahin sahaara gaya

saja diya hai tasawwur ne dhup ka manzar

agarche barf ki taswir se guzara gaya

mila hai KHak se nisbat ka phir sila mujh ko

mera hi nam hai gardun se jo pukara gaya

main dekhta raha duniya ko dur se 'sahil'

mere makan se aage talak kinara gaya

(334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDe Jatan Se BaDe Soch Se Utara Gaya In English By Famous Poet KHalid Malik 'Sahil'. BaDe Jatan Se BaDe Soch Se Utara Gaya is written by KHalid Malik 'Sahil'. Read famous Poem BaDe Jatan Se BaDe Soch Se Utara Gaya for youth and Student by KHalid Malik 'Sahil'. Free Download BaDe Jatan Se BaDe Soch Se Utara Gaya in PDF.