Be-maza Thi Jo Bad-maza Kar Di

be-maza thi jo bad-maza kar di

zindagi aap ne saza kar di

ek parda tha dosti kya thi

baaton baaton mein narawa kar di

tu ne wada kiya tha jis din ka

dil ne us sham intiha kar di

tere hisse ka intizar kiya

phir namaz-e-wafa ada kar di

dekh kar bhi mujhe nahin dekha

gawayya rishte ki ibtida kar di

taire wade teri amanat hain

par wo taswir jo chhupa kar di

aaj bhi shauq hai jalane ka

tu ne tahrir bhi jala kar di

(334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-maza Thi Jo Bad-maza Kar Di In English By Famous Poet KHalid Malik 'Sahil'. Be-maza Thi Jo Bad-maza Kar Di is written by KHalid Malik 'Sahil'. Read famous Poem Be-maza Thi Jo Bad-maza Kar Di for youth and Student by KHalid Malik 'Sahil'. Free Download Be-maza Thi Jo Bad-maza Kar Di in PDF.