Ajab Pur-lutf Manzar Dekhta Rahta Hun Barish Mein

ajab pur-lutf manzar dekhta rahta hun barish mein

badan jalta hai aur main bhigta rahta hun barish mein

sadaen Dub jati hain hawa ke shor mein aur main

gali-kuchon mein tanha chiKHta rahta hun barish mein

dariche mein dar aate hain bahut se mehrban chehre

main un par shoKH jumle phenkta rahta hun barish mein

diye jalte hain, bujhte hain, mere atraf mein aur main

bas ek sae ke pichhe bhagta rahta hun barish mein

pas-e-qaus-e-quzah ek surat-e-mahtab ki jhilmil

main is jhilmil ko pahron dekhta rahta hun barish mein

na sona mere bas mein hai, na shab bhar jagna 'KHalid'

main aankhen kholta aur michta rahta hun barish mein

(536) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Pur-lutf Manzar Dekhta Rahta Hun Barish Mein In English By Famous Poet Khalid Moin. Ajab Pur-lutf Manzar Dekhta Rahta Hun Barish Mein is written by Khalid Moin. Read famous Poem Ajab Pur-lutf Manzar Dekhta Rahta Hun Barish Mein for youth and Student by Khalid Moin. Free Download Ajab Pur-lutf Manzar Dekhta Rahta Hun Barish Mein in PDF.