Dasht-e-wahshat Ko Faqat Qais Hi Bhaya Hua Hai

dasht-e-wahshat ko faqat qais hi bhaya hua hai

hum ne bhi ishq ka aazar uThaya hua hai

sar-kashi mauj-e-hawa ki, ye kahan samjhegi

kis mashaqqat se diya hum ne jalaya hua hai

kaise gulfam kahun, kaise sitara samjhun

wo badan aur hi miTTi ka banaya hua hai

mauj-e-KHushbu ki tarah hath na aane wale

hum ne ek sath bahut waqt bitaya hua hai

aap ise kasa-e-tashhir samajh baiThe hain

hum ne ek umr se ye zaKHm chhupaya hua hai

kash wo chashm-e-gurezan bhi kabhi jaan sake

hum ko kis KHwab ki wahshat ne jagaya hua hai

(529) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht-e-wahshat Ko Faqat Qais Hi Bhaya Hua Hai In English By Famous Poet Khalid Moin. Dasht-e-wahshat Ko Faqat Qais Hi Bhaya Hua Hai is written by Khalid Moin. Read famous Poem Dasht-e-wahshat Ko Faqat Qais Hi Bhaya Hua Hai for youth and Student by Khalid Moin. Free Download Dasht-e-wahshat Ko Faqat Qais Hi Bhaya Hua Hai in PDF.