Ek Diya Aisa Bujha Hai Mujh Mein

ek diya aisa bujha hai mujh mein

nauhagar! ab ke hawa hai mujh mein

aks-dar-aks bikharna hai mujhe

jaane kya TuT gaya hai mujh mein

na koi KHwab, na aansu na KHayal

kya ajab qaht paDa hai mujh mein

chashm hairan hai, sar-e-aina

runuma kaun hua hai mujh mein

dil sulagne ka sabab hijr, na wasl

masala is se siwa hai mujh mein

munkashif! aaj talak ho na saka

main KHala hun ki KHala hai mujh mein

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Diya Aisa Bujha Hai Mujh Mein In English By Famous Poet Khalid Moin. Ek Diya Aisa Bujha Hai Mujh Mein is written by Khalid Moin. Read famous Poem Ek Diya Aisa Bujha Hai Mujh Mein for youth and Student by Khalid Moin. Free Download Ek Diya Aisa Bujha Hai Mujh Mein in PDF.