Nahin Zarur Ki Takmil-e-muddaa Dekhen

nahin zarur ki takmil-e-muddaa dekhen

magar hai ji mein ki KHun-e-jigar baha dekhen

nuqush-e-pa jo hue ja rahe hain gard unhen

thakawaton se sharabor log kya dekhen

ye kya safar hai ki sidhe-sapaT raste hain

kabhi to hum koi pur-pech rasta dekhen

fasil-e-shab se udhar de raha ho koi sada

hisar-e-KHwab mein lekin mujhe ghira dekhen

faza mein tair rahe hon hare-bhare chehre

KHud apne chehre ko lekin bujha hua dekhen

safar mein shal hue jate hun dhup ke panw

ufuq ki aankh se bahti hui hina dekhen

tulu-e-mahr se pahle bas ek pal ke liye

kisi diye ki tarah hum bhi jhilmila dekhen

ye din bhi 'KHalid'-e-shiraaz dekhne the hamein

nazar uThaen to patjhaD ka silsila dekhen

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Zarur Ki Takmil-e-muddaa Dekhen In English By Famous Poet Khalid Shirazi. Nahin Zarur Ki Takmil-e-muddaa Dekhen is written by Khalid Shirazi. Read famous Poem Nahin Zarur Ki Takmil-e-muddaa Dekhen for youth and Student by Khalid Shirazi. Free Download Nahin Zarur Ki Takmil-e-muddaa Dekhen in PDF.