Ahd-e-KHurshid Mein Zarron Ki Haqiqat Kya Hai

ahd-e-KHurshid mein zarron ki haqiqat kya hai

gard to aap hi chhaT jaegi ujlat kya hai

baat kije jo ujalon ki to wo kahte hain

wasl ki raat ujale ki zarurat kya hai

chand be-zor shajar chand khilae hue phul

aur gulchin ki gulistan pe inayat kya hai

kucha-e-zahr-e-faroshan mein nikal aaya hun

kucha-e-yar mein suqraat ki qimat kya hai

rakh ho jate hain kitne hi usulon ke charagh

tab kahin ja ke KHabar hoti hai shohrat kya hai

hai mere sher mein kuchh us ki shabahat warna

phul kya chiz hain kaliyon ki sabahat kya hai

dil qalandar ho to insan sitaron se buland

afsari jah-o-hasham daulat-o-shohrat kya hai

sar wahi hai jo kisi taj ka muhtaj na ho

zulf-e-jaanan nazar aae to hukumat kya hai

ho jise jurat-e-inkar mayassar 'KHalid'

us ko miTTi ke khilaunon ki zarurat kya hai

(412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahd-e-KHurshid Mein Zarron Ki Haqiqat Kya Hai In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Ahd-e-KHurshid Mein Zarron Ki Haqiqat Kya Hai is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Ahd-e-KHurshid Mein Zarron Ki Haqiqat Kya Hai for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Ahd-e-KHurshid Mein Zarron Ki Haqiqat Kya Hai in PDF.