Bahut Mushkil Hai Dariya Par Jaana

bahut mushkil hai dariya par jaana

magar hai kufr himmat haar jaana

bahut mumkin hai qismat muntazir ho

to phir KHwabon mein bhi bedar jaana

na jaana halqa-e-zulmat mein chahe

paDe maqtal pas-e-diwar jaana

ye kah kar wo chala su-e-shahadat

KHuda ke pas kya bimar jaana

amir-e-shahr ka husn-e-tadabbur

raqibon ko bhi apna yar jaana

muqaddar tha jo bach aae salamat

dil-e-inkar ko iqrar jaana

tamanna jit ki ho zindagi mein

to har mahfil mein le kar haar jaana

agar munsif bana wo KHud na hoga

ye raaz us ne sar-e-darbar jaana

ye paiham muflisi jin ka karam hai

unhin ko hum ne palanhaar jaana

lab-o-ruKHsar par tale paDe hain

to kya 'KHalid' pae didar jaana

(343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Mushkil Hai Dariya Par Jaana In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Bahut Mushkil Hai Dariya Par Jaana is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Bahut Mushkil Hai Dariya Par Jaana for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Bahut Mushkil Hai Dariya Par Jaana in PDF.