Dekhiye Usko To Har Baat Gul-e-tar Ki Tarah

dekhiye us ko to har baat gul-e-tar ki tarah

baat kije to wahi shaKHs hai patthar ki tarah

aql hairan hai kin alfaz mein tarif karun

husn aur wo bhi chhalakte hue saghar ki tarah

barq-e-guftar sahi shoala wo talwar sahi

hum magar zarf bhi rakhte hain samundar ki tarah

aazmaoge to hum jaan se guzar jaenge

kaghzi sher nahin hain kisi afsar ki tarah

dil ko bahlate hain afsana-e-azadi se

hum ne ek tauq pahan rakkha hai zewar ki tarah

raj karte hain wahi log dilon par 'KHalid'

baKHsh dete hain jo dushman ko sikandar ki tarah

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhiye Usko To Har Baat Gul-e-tar Ki Tarah In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Dekhiye Usko To Har Baat Gul-e-tar Ki Tarah is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Dekhiye Usko To Har Baat Gul-e-tar Ki Tarah for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Dekhiye Usko To Har Baat Gul-e-tar Ki Tarah in PDF.