Garche Har Samt Masail Ke Hain Ambar Bahut

garche har samt masail ke hain ambar bahut

apni taqrir pe hai shaiKH ko israr bahut

hum ne mana ki tere shahr mein sab achchha hai

koi isa ho to mil jaenge bimar bahut

na-sapasi ka samar dar-ba-dari hai yaro

yaad aaegi ye TuTi hui diwar bahut

aaj phir qafila-e-haq ka KHuda hafiz hai

shahr walon mein nahin jurat-e-inkar bahut

hum jo afrang se haare hain to do baaton par

waqt ki qadr nahin garmi-e-guftar bahut

qissa-e-KHair na chhupne ke bahane lakhon

KHabar-e-bad pe uchhalte hain ye aKHbar bahut

baat sunne ke liye sirf hawaen 'KHalid'

baat karne ke liye dost bahut yar bahut

(319) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garche Har Samt Masail Ke Hain Ambar Bahut In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Garche Har Samt Masail Ke Hain Ambar Bahut is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Garche Har Samt Masail Ke Hain Ambar Bahut for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Garche Har Samt Masail Ke Hain Ambar Bahut in PDF.