Har Ek ShaKHs Ko Ek Tantane Mein Rakhti Hai

har ek shaKHs ko ek tantane mein rakhti hai

wo bhant bhant ki machhli ghaDe mein rakhti hai

tamam shahr ke danishwaron ko wo zalim

asir-e-zulf kiye aasare mein rakhti hai

wo galiyan bhi agar de to sher-o-naghma lage

zaban mein loch ajab sur gale mein rakhti hai

use sharab-e-tuhura ka tazkira bhi gunah

ye baat aur hai sab ko nashe mein rakhti hai

har ek ko dard ki lazzat se aashna kar ke

maze mein rahti hai sab ko maze mein rakhti hai

samajh ke haq wo har ehsan bhul jati hai

magar har ek KHata hafize mein rakhti hai

use KHabar hai ki anjam-e-wasl kya hoga

wo qurbaton ki tapish fasle mein rakhti hai

sukun ke sae mein shayad use bhula baiThe

mudam shahr ko ek zalzale mein rakhti hai

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek ShaKHs Ko Ek Tantane Mein Rakhti Hai In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Har Ek ShaKHs Ko Ek Tantane Mein Rakhti Hai is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Har Ek ShaKHs Ko Ek Tantane Mein Rakhti Hai for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Har Ek ShaKHs Ko Ek Tantane Mein Rakhti Hai in PDF.