Uqab Dil Ho To Sara Jahan Ek Sa Hai

uqab dil ho to sara jahan ek sa hai

zamin koi bhi ho aasman ek sa hai

koi Thikana watan ka badal nahin hota

muhajiron ke liye har makan ek sa hai

tayyunat-e-ilaqa briadri firqe

sipah-e-jahl kahin ho nishan ek sa hai

wo koi sahab-e-jagir ho ki mulla ho

magar hamare liye qahrman ek sa hai

nigah masnad-e-ala pe roz-e-awwal se

dayar-e-yar ka har pasban ek sa hai

panah daman-e-qanun mein na masjid mein

hamare shahr mein har saeban ek sa hai

hamari aankh ka tara wo ho nahin sakta

tamam bazm pe jo mehrban ek sa hai

faluja-o-najaf-o-karbala se pahle wo

samajh rahe the ki har be-zaban ek sa hai

hazar bar bhi luT kar sabaq nahin sikha

wafa ke shahr mein har KHush-guman ek sa hai

jihad-e-saif ho 'KHalid' ki ho jihad-e-qalam

kisi zaban mein ho imtihan ek sa hai

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uqab Dil Ho To Sara Jahan Ek Sa Hai In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Uqab Dil Ho To Sara Jahan Ek Sa Hai is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Uqab Dil Ho To Sara Jahan Ek Sa Hai for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Uqab Dil Ho To Sara Jahan Ek Sa Hai in PDF.