Wafa Ke Nam Pe Rakkhi Hain Tohmaten Kya Kya

wafa ke nam pe rakkhi hain tohmaten kya kya

bigaD di hain zamane ne suraten kya kya

hamin pe dosh hai un ki qaza namazon ka

janab-e-shaiKH ne DhunDin wazahaten kya kya

baDe KHulus se ek shahr-e-gul ujaD liya

hui hain ahl-e-nazar se himaqaten kya kya

fareb-e-sim-o-jawahar hue hain nam-o-numud

KHayal-e-yar se uljhi hain zulmaten kya kya

wo mehrban to na tha par KHulus bhi na raha

paDi hain ghair ki sohbat mein aadaten kya kya

zaban-e-qatil-o-maqtul par hai ek hi nam

KHuda ke nam pe guzrin qayamaten kya kya

baDha ke halqa-e-rindan ki ranjishen 'KHalid'

sitamgaron ne nikali hain hasraten kya kya

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa Ke Nam Pe Rakkhi Hain Tohmaten Kya Kya In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Wafa Ke Nam Pe Rakkhi Hain Tohmaten Kya Kya is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Wafa Ke Nam Pe Rakkhi Hain Tohmaten Kya Kya for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Wafa Ke Nam Pe Rakkhi Hain Tohmaten Kya Kya in PDF.