Wajh-e-ruswai Hai Ab Laeq-e-mahfil Hona

wajh-e-ruswai hai ab laeq-e-mahfil hona

un ki fahrist-e-tabarra mein na shamil hona

fan ka dawa hai to kuchh jurat-e-izhaar bhi ho

zeb deta nahin fankar ko buzdil hona

madh-e-gul-chin ho jahan maslak-e-murghan-e-chaman

hum ko manzur nahin faKHr-e-anadil hona

apni pahchan hai wo qarya-e-tarik jahan

munsifon ko bhi mayassar nahin aadil hona

mere sheron ne use soch mein Dala to sahi

nek hai dil mein bhi razm-e-haq-o-baatil hona

chand nikle to sahi baam pe kuchh shor to ho

kuchh zaruri to nahin hai mah-e-kaamil hona

na siyasat na maishat na ba-nam-e-mazhab

ab gawara nahin paband-e-salasil hona

saneha is se baDa aur bhala kya hoga

'KHalid' us shoKH ke qabze mein mera dil hona

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wajh-e-ruswai Hai Ab Laeq-e-mahfil Hona In English By Famous Poet Khalid Yusuf. Wajh-e-ruswai Hai Ab Laeq-e-mahfil Hona is written by Khalid Yusuf. Read famous Poem Wajh-e-ruswai Hai Ab Laeq-e-mahfil Hona for youth and Student by Khalid Yusuf. Free Download Wajh-e-ruswai Hai Ab Laeq-e-mahfil Hona in PDF.