Swad-e-gham Ho Ya Bazm-e-tarab Kuchh Bhi Nahin Hota

swad-e-gham ho ya bazm-e-tarab kuchh bhi nahin hota

zaban marham rakkhe ya zaKHm ab kuchh bhi nahin hota

chale aate hain be-mausam ki barish ki tarah aansu

basa-auqat rone ka sabab kuchh bhi nahin hota

jo hota hai to bas itna ki lafzon ka bharam TuTe

suKHan aata hai akasr ta-ba-lab kuchh bhi nahin hota

kabhi the mehrban mausam kabhi sawan barasta tha

aur ab dharti hai sari tishna-lab kuchh bhi nahin hota

tamanna jhankti hai rauzan-e-zindan se chhup chhup kar

asiri mein magar anjam-e-shab kuchh bhi nahin hota

qayamat si guzarti hai qayamat aa nahin jati

koi be-jaan ho ya jaan-ba-lab kuchh bhi nahin hota

jibillat sar uTha le to KHas-o-KHashak hai insan

baDa ho nam ya uncha nasab kuchh bhi nahin hota

yahan hota hai baad-az-marg wawaila bahut lekin

koi mar mar ke jab jita ho tab kuchh bhi nahin hota

ye duniya hai yahan tariKH hi dohrai jati hai

anokha kuchh nahin hota ajab kuchh bhi nahin hota

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Swad-e-gham Ho Ya Bazm-e-tarab Kuchh Bhi Nahin Hota In English By Famous Poet Khalida Uzma. Swad-e-gham Ho Ya Bazm-e-tarab Kuchh Bhi Nahin Hota is written by Khalida Uzma. Read famous Poem Swad-e-gham Ho Ya Bazm-e-tarab Kuchh Bhi Nahin Hota for youth and Student by Khalida Uzma. Free Download Swad-e-gham Ho Ya Bazm-e-tarab Kuchh Bhi Nahin Hota in PDF.