Sar Chhupane Ke Liye Chhat Nahin Di Ja Sakti

sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti

har kisi ko ye sahulat nahin di ja sakti

sans lene ke liye sab ko mayassar hai hawa

is se baDh kar to riayat nahin di ja sakti

tum ko ras aae na aae meri basti ki faza

yan kisi jaan ki zamanat nahin di ja sakti

ek muddat ke shab o roz lahu hote hain

tasht mein rakh ke qayaadat nahin di ja sakti

zist aur maut ka aaKHir ye fasana kya hai

umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti

in darichon se koi mauja-e-KHush-kun aae

rahat-e-jaan ye ijazat nahin di ja sakti

soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai wagarna 'uzma'

barf ko narm hararat nahin di ja sakti

(343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Chhupane Ke Liye Chhat Nahin Di Ja Sakti In English By Famous Poet Khalida Uzma. Sar Chhupane Ke Liye Chhat Nahin Di Ja Sakti is written by Khalida Uzma. Read famous Poem Sar Chhupane Ke Liye Chhat Nahin Di Ja Sakti for youth and Student by Khalida Uzma. Free Download Sar Chhupane Ke Liye Chhat Nahin Di Ja Sakti in PDF.