Bane-banae Se Raston Ka Silsila Nikla

bane-banae se raston ka silsila nikla

naya safar bhi bahut hi gurez-pa nikla

na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi

jise qarib se dekha wo dusra nikla

hamein to ras na aai kisi ki mahfil bhi

koi KHuda koi ham-saya-e-KHuda nikla

hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr

na pyas hi bujhi apni na hausla nikla

hamare pas se guzri thi ek parchhain

pukara hum ne to sadiyon ka fasla nikla

ab apne-ap ko DhunDen kahan kahan ja kar

adam se ta-ba-adam apna naqsh-e-pa nikla

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bane-banae Se Raston Ka Silsila Nikla In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Bane-banae Se Raston Ka Silsila Nikla is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Bane-banae Se Raston Ka Silsila Nikla for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Bane-banae Se Raston Ka Silsila Nikla in PDF.