Bas Ki Pabandi-e-ain-e-wafa Humse Hui

bas ki pabandi-e-ain-e-wafa hum se hui

ye agar koi KHata hai to KHata hum se hui

zindagi tere liye sab ko KHafa hum ne kiya

apni qismat hai ki ab tu bhi KHafa hum se hui

raat bhar chain se sone nahin deti hum ko

itni mayus teri zulf-e-rasa hum se hui

sar uThane ka bhala aur kise yara tha

bas tere shahr mein ye rasm ada hum se hui

bar-ha dast-e-sitam-gar ko qalam hum ne kiya

bar-ha chaak andhere ki qaba hum se hui

hum ne utne hi sar-e-rah jalae hain charag

jitni bargashta zamane ki hawa hum se hui

bar-e-hasti to uTha uTh na saka dast-e-sawal

marte marte na kabhi koi dua hum se hui

kuchh dinon sath lagi thi hamein tanha pa kar

kitni sharminda magar mauj-e-bala hum se hui

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ki Pabandi-e-ain-e-wafa Humse Hui In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Bas Ki Pabandi-e-ain-e-wafa Humse Hui is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Bas Ki Pabandi-e-ain-e-wafa Humse Hui for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Bas Ki Pabandi-e-ain-e-wafa Humse Hui in PDF.