Gali Gali Ki Thokar Khai Kab Se KHwar O Pareshan Hain

gali gali ki Thokar khai kab se KHwar o pareshan hain

yan apna hi hosh nahin hai kis ko chah ke arman hain

fursat ho to aa ke dekho hum aawara-gardon ko

kitne ghubar hain is daman mein kitne dil mein tufan hain

sab hi un ka adab karte hain chahne wala koi nahin

Toka ek gustaKH ko lekin ab wo KHud hi pasheman hain

sar jo jhuka us shoKH ke aage aur kahin phir jhuk na saka

maslak-e-mehr-o-wafa mein waiz hum kafir bhi musalman hain

kuchh ko mudawa karna hoga is aashufta-mizaji ka

ai gham-e-jaanan! apne parae sab hi tujh se nalan hain

wadi o sahra chhoD ke jab se tere shahr mein aan base

jangal jangal DhunDte phirte hum ko sare ghazalan hain

ahl-e-zamana ko bas meri ek ruswai yaad rahi

warna meri wafa ke jaane kitne aur bhi unwan hain

hum ne apni or se KHuban kab tum ko bad-nam kiya

tum ne jo jo dagh diye hain wo chhati pe numayan hain

KHair se ab ke ahl-e-sitam ko diwanon se kaam paDa

dekhen kitni zanjiren hain dekhen kitne zindan hain

jo pamal-e-KHizan hain ek din KHak-e-chaman se uTThenge

un ka hashr na jaane kya ho jo maqtul-e-bahaaran hain

Dar na raha mauj-e-bala ka ruKH bhi phira duniya ki hawa ka

rona kya hai dukh sagar ka us ke hum par ehsan hain

ek ek bund jali hai lahu ki tab ja kar ye raat kaTi

tere liye ai subh-e-tarab hum kab se chaak-gareban hain

'mir' ka tarz apnaya sab ne lekin ye andaz kahan

'azmi'-sahib aap ki ghazlen sun sun kar sab hairan hain

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gali Gali Ki Thokar Khai Kab Se KHwar O Pareshan Hain In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Gali Gali Ki Thokar Khai Kab Se KHwar O Pareshan Hain is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Gali Gali Ki Thokar Khai Kab Se KHwar O Pareshan Hain for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Gali Gali Ki Thokar Khai Kab Se KHwar O Pareshan Hain in PDF.