Ghar Mein BaiThe Socha Karte Humse BaDh Kar Kaun Dukhi Hai

ghar mein baiThe socha karte hum se baDh kar kaun dukhi hai

ek din ghar ki chhat pe chaDhe to dekha ghar ghar aag lagi hai

jaane hum pe kya kya biti tan ka lahu sab sarf hua

ruKH ki zardi bhi hai ghanimat ab to apni yahi punji hai

apne-ap ko samjhate hain raat Dhali ab tu bhi so ja

hum hi akele kaise soen dil ki dhaDkan jag rahi hai

har dam fikr ke moti rolen par do miThe bol na bolen

bhed yahan ke kis pe kholen duniya hi kangal hui hai

sayyad-nagri nai-nirali bhor-phaTe sab raddi wale

roz pukaren raddi becho aaKHir kitni raddi hai

(361) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Mein BaiThe Socha Karte Humse BaDh Kar Kaun Dukhi Hai In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Ghar Mein BaiThe Socha Karte Humse BaDh Kar Kaun Dukhi Hai is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Ghar Mein BaiThe Socha Karte Humse BaDh Kar Kaun Dukhi Hai for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Ghar Mein BaiThe Socha Karte Humse BaDh Kar Kaun Dukhi Hai in PDF.