Hangama-e-hayat Se Jaan-bar Na Ho Saka

hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka

ye dil ajib dil hai ki patthar na ho saka

mera lahu bhi pi ke na duniya jawan hui

qimat mere junun ki mera sar na ho saka

teri gali se chhuT ke na ja-e-aman mili

ab ke to mera ghar bhi mera ghar na ho saka

tere na ho sake to kisi ke na ho sake

ye karobar-e-shauq mukarrar na ho saka

yun ji bahal gaya hai teri yaad se magar

tera KHayal tere barabar na ho saka

guzri jo shab to bujh gae apne charagh bhi

aai sahar to phir koi rahbar na ho saka

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hangama-e-hayat Se Jaan-bar Na Ho Saka In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Hangama-e-hayat Se Jaan-bar Na Ho Saka is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Hangama-e-hayat Se Jaan-bar Na Ho Saka for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Hangama-e-hayat Se Jaan-bar Na Ho Saka in PDF.