Har GhaDi Umr-e-faromaya Ki Qimat Mange

har ghaDi umr-e-faromaya ki qimat mange

mujh se aaina mera meri hi surat mange

dur rah kar hi jo aankhon ko bhale lagte hain

dil-e-diwana magar un ki hi qurbat mange

puchhte kya ho in aankhon ki udasi ka sabab

KHwab jo dekhe wo KHwabon ki haqiqat mange

apne daman mein chhupa le mere ashkon ke charagh

aur kya tujh se koi ai shab-e-furqat mange

wo nigah kahti hai baiThe raho mahfil mein abhi

dil ki aashuftagi uThne ki ijazat mange

zahr pi kar bhi jiyun main ye alag baat magar

zindagi us lab-e-rangin ki halawat mange

zeb dete nahin ye turra-o-dastar mujhe

meri shorida-sari sang-e-malamat mange

(294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har GhaDi Umr-e-faromaya Ki Qimat Mange In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Har GhaDi Umr-e-faromaya Ki Qimat Mange is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Har GhaDi Umr-e-faromaya Ki Qimat Mange for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Har GhaDi Umr-e-faromaya Ki Qimat Mange in PDF.