Har Har Sans Nai KHushbu Ki Ek AahaT Si Pata Hai

har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai

ek ek lamha apne hath se jaise nikla jata hai

din Dhalne par nas nas mein jab gard si jamne lagti hai

koi aa kar mere lahu mein phir mujh ko nahlata hai

hum sab ek hi man ke beTe is dharti ke basi hain

jo bhi is miTTi se bana hai us se apna nata hai

sari sari raat jale hain jis apni tanhai mein

un ki aag se subh ka suraj apna diya jalata hai

main to ghar mein apne-ap se baaten karne baiTha tha

an-dekha sa ek chehra diwar pe ubhra aata hai

kitne sawal hain ab bhi aaise jin ka koi jawab nahin

puchhne wala puchh ke un ko apna dil bahlata hai

kis ko saza-e-maut milegi ye kaisi hai bhiD lagi

aur kya us ne jurm kiya tha koi nahin batata hai

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Har Sans Nai KHushbu Ki Ek AahaT Si Pata Hai In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Har Har Sans Nai KHushbu Ki Ek AahaT Si Pata Hai is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Har Har Sans Nai KHushbu Ki Ek AahaT Si Pata Hai for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Har Har Sans Nai KHushbu Ki Ek AahaT Si Pata Hai in PDF.