Har Zarra Gul-fishan Hai Nazar Chur Chur Hai

har zarra gul-fishan hai nazar chur chur hai

nikle hain mai-kade se to chehre pe nur hai

han tu kahe to jaan ki parwa nahin mujhe

yun zindagi se mujh ko mohabbat zarur hai

ab ai hawa-e-charKH-e-kuhan teri KHair ho

uThne ko is zamin se shor-e-nushur hai

apna jo bas chale to tujhe tujh se mang len

par kya karen ki ishq ki fitrat ghayur hai

nazuk tha aab-gina-e-dil TuT hi gaya

tu ab na ho malul tera kya qusur hai

aariz pe tere meri mohabbat ki surKHiyan

meri jabin pe teri wafa ka ghurur hai

(400) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Zarra Gul-fishan Hai Nazar Chur Chur Hai In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Har Zarra Gul-fishan Hai Nazar Chur Chur Hai is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Har Zarra Gul-fishan Hai Nazar Chur Chur Hai for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Har Zarra Gul-fishan Hai Nazar Chur Chur Hai in PDF.