Hazar Tarah Se Gardish Mein Aaftab Raha

hazar tarah se gardish mein aaftab raha

nigah-e-naz ka lekin kahan jawab raha

wo aa gae hain to ab chhoDo is fasane ko

kahan kahan main phira kis tarah KHarab raha

suna raha hun unhen jhuT-muT ek qissa

ki ek shaKHs mohabbat mein kaamyab raha

agarche aur bhi fitne uThe qayamat ke

tera shabab hi aalam mein intiKHab raha

rah-e-hayat mein hum chaak-e-dil se dekhenge

jahan jahan bhi ruKH-e-dahr par naqab raha

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar Tarah Se Gardish Mein Aaftab Raha In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Hazar Tarah Se Gardish Mein Aaftab Raha is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Hazar Tarah Se Gardish Mein Aaftab Raha for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Hazar Tarah Se Gardish Mein Aaftab Raha in PDF.