Hir Khaar-o-KHas Se Waza Nibhate Rahe Hain Hum

hir KHar-o-KHas se waza nibhate rahe hain hum

yun zindagi ki aag jalate rahe hain hum

shiriniyon ko zahr ke damon mein bich kar

naghme hayat-e-nau ke sunate rahe hain hum

is ki to dad dega hamara koi raqib

jab sang uTha to sar bhi uThate rahe hain hum

ta dil pe zaKHm aur na koi naya lage

apno se apna haal chhupate rahe hain hum

tere liye hi raat bhar ai mahr-e-zar-nigar

tarikiyon ke naz uThate rahe hain hum

ab koi taza phul khila KHak-e-paemal!

apna lahu zamin ko pilate rahe hain hum

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hir Khaar-o-KHas Se Waza Nibhate Rahe Hain Hum In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Hir Khaar-o-KHas Se Waza Nibhate Rahe Hain Hum is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Hir Khaar-o-KHas Se Waza Nibhate Rahe Hain Hum for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Hir Khaar-o-KHas Se Waza Nibhate Rahe Hain Hum in PDF.