Hum Ahl-e-gham Bhi Rakhte Hain Jadu-bayaniyan

hum ahl-e-gham bhi rakhte hain jadu-bayaniyan

ye aur baat hai ki sunin lan-taraniyan

sharminda kar na mujh ko mera haal puchh kar

le de ke rah gai hain yahi be-zabaniyan

kam kya tha hum faqiron ko aashob-e-rozgar

kyun yaad aa rahi hain teri mehrbaniyan

daman ke chaak chaak mein hai mausam-e-bahaar

aao ki KHun-e-dil se karen guf-fishaniyan

ahl-e-zamana tum bhi baDe waqt par mile

kuchh bar ho chali thin meri shadmaniyan

tum ne bhula diya to nai baat kya hui

rahti hain yaad kis ko wafa ki kahaniyan

ji khol kar luTaenge ab teri rah mein

tere bala-kashon ko mili hain jawaniyan

rakh lo ki zindagi mein kabhi kaam aaengi

diwangan-e-ishq ki bhi kuchh nishaniyan

(350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ahl-e-gham Bhi Rakhte Hain Jadu-bayaniyan In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Hum Ahl-e-gham Bhi Rakhte Hain Jadu-bayaniyan is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Hum Ahl-e-gham Bhi Rakhte Hain Jadu-bayaniyan for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Hum Ahl-e-gham Bhi Rakhte Hain Jadu-bayaniyan in PDF.