Hum Bansuri Par Maut Ki Gate Rahe Naghma Tera
hum bansuri par maut ki gate rahe naghma tera
ai zindagi ai zindagi rutba rahe baala tera
apna muqaddar tha yahi ai mamba-e-asudgi
bas tishnagi bas tishnagi go pas tha dariya tera
is gam se us gam tak zanjir-e-gham ke fasle
manzil to kya hum ko mile, chalta rahe rasta tera
tu kaun tha kya nam tha tujh se hamein kya kaam tha
hai parda-e-dil par abhi dhundla sa ek chehra tera
suraj hai go na-mehrban hai sar pe nila saeban
ai aasman ai aasman daim rahe saya tera
(336) Peoples Rate This