Ilahi Aa Na PaDe Phir Koi Gham-e-taza

ilahi aa na paDe phir koi gham-e-taza

uDa uDa sa hai ru-e-nigar ka ghaza

abhi to kitne hain jin par haram hai saqi

kahin ye toD na den mai-kade ka darwaza

ab inqilab ki zad mein hai teri duniya bhi

bahut bacha ke tu daman chali thi tannaza

ye ek qatra-e-KHun markaz-e-do-alam hai

tumhein nahin hai dil-e-na-tawan ka andaza

bhari bahaar mein ye meri chaak-damani

na jaane kab ka uThana paDa hai KHamyaza

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ilahi Aa Na PaDe Phir Koi Gham-e-taza In English By Famous Poet Khalilur Rahman Azmi. Ilahi Aa Na PaDe Phir Koi Gham-e-taza is written by Khalilur Rahman Azmi. Read famous Poem Ilahi Aa Na PaDe Phir Koi Gham-e-taza for youth and Student by Khalilur Rahman Azmi. Free Download Ilahi Aa Na PaDe Phir Koi Gham-e-taza in PDF.